Meri ankhon pe marta tha,
Meri baton pe hansta tha,
Najanay shakhs tha kaisa,
Mujhe khonay se darta tha,
Mujhe jab bhi woh milta tha,
Yahi har bar kehta tha,
-Suno- Agar main bhool jaoon tau,
Agar main rooth jaoon tau,
Kabhi wapis na aoon tau,
Bhula pa o gai yeh sab kuchh,
Yohin hanstay raho gai kiya,
Yahi batein hain bus us ki,
Mujhe bus yad hai itna,
Mujhe woh piyar karta tha,
Muje Khonay se darta tha

No comments:
Post a Comment