Sunday, 26 January 2014

Daraaz Palken,Wisaal Aankhen

Yeh Mast Mast Be Misaal Aankhen
 Nashay Men Har Dam Nidhaal Aankhen,

Uthen Tou Hosh-o-Hawaas Cheenay
Giren Tou Kar Den Kamal Aankhen,

Koi Hay In K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shoq-e-Wisaal Aankhen,

Na Youn Jalen , Na Youn Sataen
Karen Tou Kuch Yeh Kahayl Aankhen,

Hain Jeenay Ka Ik Bahana Yaaro
Yeh Rooh Parwar Jamaal Aankhen,

Daraaz Palken , Wisaal Aankhen
Musawari Ka Kamal Aankhen,

Sharaab Rab Ne Haraam Kardi
Magar Kiun Rakhi Halaal Aankhen,

Hazaron In Se Qatal Hongay
Khuda K Banday Sanbhaal Aankhen…

No comments:

Post a Comment