sakoon bhi khawab howa neend bhi hai kam kam phir..
qareeb aanay laga doriyoon ka mousam phir...
qareeb aanay laga doriyoon ka mousam phir...
bana rahi hai teri yaad mujko silk_e_gohar
paro gae meri palkoon main aaj shabnam phir...
who narm lehjay main kuch keh raha hai phir mujsay
chira hai payar kay komal suroon main madham phir...
tujay manaoon kay apni ana ki baat sunoon
ulaj raha hai miaray faisloon ka raisham phir...
na uski baat main samjoon na who meri nazrain
muaamlat_e_zuban ho chalay hain mabham phir...
who aik lamha kay jab saray rang aik howay
kisi bahanay daikha na aisa sangam phir..
bohot azeez hain aankhain meri usay,laikin
who jatay jatay inhain kar gaya hai purnam phir..

No comments:
Post a Comment